Dussehra 2025: Jaane Ravana Dahan ka shubh samay aur Astra-Puja ki vidhi
- Tanisha surajwani
- Sep 30
- 1 min read
Dussehra 2025: Navratri ke dusre din yani Dashami tithi par Vijayadashami ya Dussehra celebrate kiya jaata hai. Ye din achchai ki burai par jeet ka pratik maana jata hai. Aayiye jaante hain 2025 mein Ravan Dahan ka shubh muhurat aur astra-puja ki vidhi.

Dussehra aur Vijayadashami 2025 Date
Is saal Vijayadashami aur Dussehra 2 October 2025, Guruwar ko manaya jaayega. Yeh festival har saal Ashwin maas ke shukla paksha ki dashami tithi ko celebrate hota hai. Is din bhakton ko Bhagwan Ram ki Ravan par jeet aur Maa Durga dwara Mahishasura vadh ki yaad dilayi jaati hai.
Isi liye devotees is din Lord Rama aur Maa Durga ki vishesh puja karte hain. Saath hi astra-puja bhi ki jaati hai jisme shakti aur suraksha ka aashirwad mangte hain.
Dussehra 2025: Ravana Dahan aur Astra-Puja ka Shubh Muhurat
Dashami Tithi prarambh: 1 October 2025, shaam 7:01 PM se
Dashami Tithi samapt: 2 October 2025, shaam 7:10 PM tak
Astra-puja (Vijayadashami Puja) ka shubh samay: 2 October 2025, dopahar 2:09 PM se 2:56 PM tak (kul 47 minute)
Dopahar Puja Muhurat: 1:21 PM se 3:44 PM tak
Ravana Dahan ka shubh samay: 2 October 2025, Pradosh kaal ke baad, shaam 6:05 PM ke aaspaas
Dussehra ka Mahatva
Dussehra sirf Ravan Dahan tak seemit nahi hai, balki yeh humein yeh sikhata hai ki zindagi mein chahe kitni bhi pareshaniyan ho, agar hum satya aur dharm ke path par chalenge, toh akhirkaar vijay hamari hi hogi. Isi wajah se Vijayadashami har saal logon ko naye utsah aur prerna se jeene ka sandesh deti hai.



Comments